What is HTML and Basic tags of HTML
Yadi aap ek development ke field me apna career banana chahte hai to apko HTML language ki basic jankari hona jaruri hai. Chahe developer yo ha designer HTML programming ki coding pata hona chahiye, isi ke adhaar par aur doosri language work karti hai jaise PHP, Java, Javascript etc. What is HTML in Hindi HTML ka full Hypertext markup language hota hai jiska use web page banane me kiya jata hai. HTML seekhne me bahut easy language hoti hai iske code ko aasani se padha aur likha ja sakta hai. Hyper Text Markup Language ke har word me uska ek alag matlab hota hai. Hyper Yaha par Hyper ka yeh matlab hota hai ki HTML ka koi sequence nahi hota hai jaise ki doosri programming language me hota hai ki ek statement ke bad hi doosra statement execute hota hai. Kai baar aisa hota hai ki yadi pahle statement me koi error aa jata hai to doosra statement execute nahi hota jab tak ki use error ko fix nahi kiya jata, lekin html me aisa koi rule nahi apply hota hai. Yad...